Jis Tayaqqun Se Jo Likhna Tha Nahin Likkha Gaya

jis tayaqqun se jo likhna tha nahin likkha gaya

aasman kaT ke miTTi pe zamin likkha gaya

meri peshani damakti hai sitaron se siwa

tere hathon se jahan harf-e-yaqin likkha gaya

mauj-dar-mauj samundar se mulaqat hui

KHwab ko KHwab sar-e-sath-e-zamin likha gaya

aks-dar-aks jo likhna tha mujhe us ka jamal

aaina-KHana-e-hairat ke tain likkha gaya

dekh kar us ko mere hosh Thikane na rahe

ism likhna tha kahin aur kahin likkha gaya

han uThaya tha qalam karbala walon ke liye

likhna chaha tha magar mujh se nahin likkha gaya

donon sarmast hain ehsas-e-suKHan-sazi mein

raushni aankh ko aur dil ko hazin likkha gaya

yun to safhat siyah karta raha main 'azhar'

chahta tha jo mera shauq nahin likkha gaya

(309) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Tayaqqun Se Jo Likhna Tha Nahin Likkha Gaya In English By Famous Poet Mahmood Azhar. Jis Tayaqqun Se Jo Likhna Tha Nahin Likkha Gaya is written by Mahmood Azhar. Read famous Poem Jis Tayaqqun Se Jo Likhna Tha Nahin Likkha Gaya for youth and Student by Mahmood Azhar. Free Download Jis Tayaqqun Se Jo Likhna Tha Nahin Likkha Gaya in PDF.