Jab Aql Ne Kar Dala Jazbaat Se Samjhauta

jab aql ne kar Dala jazbaat se samjhauta

hum kyun na karen apne haalat se samjhauta

jine ke liye aaKHir karna hi paDa mujh ko

din raat ki gardish mein din raat se samjhauta

haalat badalne mein kuchh der nahin lagti

behtar hai abhi kar len haalat se samjhauta

jab us ne jhalak dekhi pasti mein bulandi ki

suraj ne kiya baDh kar zarraat se samjhauta

aasan nahin apni auqat samajh lena

mushkil hai bahut apni auqat se samjhauta

ki yun to mere nafs-e-sarkash ne bahut koshish

TuTa na mere sar ka sajdat se samjhauta

har samt fazaon se barse to lahu barse

ye kis ne kiya chhup kar barsat se samjhauta

jab dil ke taqazon ko KHud aql hi Thukra de

tab ho bhi to kaise ho jazbaat se samjhauta

haalat ne samjhauta ai 'saz' kiya mujh se

main ne na kiya apne haalat se samjhauta

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Aql Ne Kar Dala Jazbaat Se Samjhauta In English By Famous Poet Mahmood Beg Saaz. Jab Aql Ne Kar Dala Jazbaat Se Samjhauta is written by Mahmood Beg Saaz. Read famous Poem Jab Aql Ne Kar Dala Jazbaat Se Samjhauta for youth and Student by Mahmood Beg Saaz. Free Download Jab Aql Ne Kar Dala Jazbaat Se Samjhauta in PDF.