Tera KHayal Agar Juzw-e-zindagi Na Rahe

tera KHayal agar juzw-e-zindagi na rahe

jahan mein mere liye koi dilkashi na rahe

main aa gaya hun wahan tak teri tamanna mein

jahan se koi bhi imkan-e-wapsi na rahe

tu Thik kahta hai ai dost Thik kahta hai

ki hum hi qabil-e-tajdid-e-dosti na rahe

huzur yaad hai maidan-e-hashr ka wada

kahin wahan bhi meri aankh DhunDhti na rahe

mera to KHair azal hi se gham muqaddar hai

teri nigah ki pahchan be-ruKHi na rahe

tu is tarah se lipaT ja charagh ki lau se

ki baad-e-marg yahan teri rakh bhi na rahe

kisi ke hijr ka mausam azab hai 'ghazni'

kabhi kabhi to main kahta hun zindagi na rahe

(523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera KHayal Agar Juzw-e-zindagi Na Rahe In English By Famous Poet Mahmood Ghazni. Tera KHayal Agar Juzw-e-zindagi Na Rahe is written by Mahmood Ghazni. Read famous Poem Tera KHayal Agar Juzw-e-zindagi Na Rahe for youth and Student by Mahmood Ghazni. Free Download Tera KHayal Agar Juzw-e-zindagi Na Rahe in PDF.