Har Taraf Aaj Hai Zulmat Ka Pahra Dekho

har taraf aaj hai zulmat ka pahra dekho

dil ye kahta hai koi chand sa chehra dekho

dard sargam ka hua aur bhi gahra dekho

muskuraate hue pazeb ka lahra dekho

gard uDti hai na qadmon ki sada aati hai

qafila dard ka kis moD pe Thahra dekho

use payab samajh kar na utar jao kahin

bahr KHamosh hua karta hai gahra dekho

jazbe sab mar gae lekin wo abhi hai zinda

ruKH-e-maghmum pe hansta hua sahra dekho

dasht-e-pur-haul mein rahib sa akela hai babul

jaise wahshat-zada aahu koi Thahra dekho

(340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Taraf Aaj Hai Zulmat Ka Pahra Dekho In English By Famous Poet Mahmood Ishqi. Har Taraf Aaj Hai Zulmat Ka Pahra Dekho is written by Mahmood Ishqi. Read famous Poem Har Taraf Aaj Hai Zulmat Ka Pahra Dekho for youth and Student by Mahmood Ishqi. Free Download Har Taraf Aaj Hai Zulmat Ka Pahra Dekho in PDF.