KHushbu Ki Tarah Shab Ko Machalta Tha Gul-badan

KHushbu ki tarah shab ko machalta tha gul-badan

bistar se chun raha hun main TuTe hue baTan

KHak-e-shifa ke nam se miTTi ko bech kar

kya mauj kar rahe hain imaman-e-fikr-o-fan

dekhunga main bhi chakh ke zara zahr ka maza

tu apne sath sath mera bhi to kar jatan

warna phir un ko chain se jine na denge log

shorafa ke waste bhi hai lazim kamina-pan

ab jins mein nahin rahi taKHsis rang ki

donon taraf hi siTi bajate hain pairahan

lab par lachak rahi hai lipstick KHulus ki

make-up ke bojh se hai pareshan husn-e-zan

loban ke dhuen mein tasawwuf ke zikr par

paudon ki tarah hilte rahe ahl-e-anjuman

is shan-e-ehtiyat ke qurban jaiye

koshish ye kar rahe hain ki maila na ho kafan

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushbu Ki Tarah Shab Ko Machalta Tha Gul-badan In English By Famous Poet Mahmood Ishqi. KHushbu Ki Tarah Shab Ko Machalta Tha Gul-badan is written by Mahmood Ishqi. Read famous Poem KHushbu Ki Tarah Shab Ko Machalta Tha Gul-badan for youth and Student by Mahmood Ishqi. Free Download KHushbu Ki Tarah Shab Ko Machalta Tha Gul-badan in PDF.