Lafz Likhna Bhul Jata Hun

mujhe uDte parinde achchhe lagte hain

mujhe un ki uDanon se

nae aate hue sab mausamon ki aahaTen mahsus hoti hain

mujhe un ki uDanen

barishen aur phul khilne ki bashaarat dene aati hain

mujhe un ki uDanen

zindagi ke raston par hauslon ka dars deti hain

mere hathon ne harfon ke gulabon ko

inhi se likhna sikha hai

magar hijrat-zada mausam mein

jab koi akeli kunj kar lati hui

nile falak ki wusaton mein apne khoe sathiyon ko

DhunDhti aawaz deti hai

mujhe bichhDe hue sab yaad aate hain

mere hathon ki poren lafz likhna bhul jati hain

zamin par barishen

aur sard yaKH-basta badan ko chirti barham hawaen

sabz peDon mein ghire aabaad ghar ka rasta roken

main tanha baiTh kar

bhige parindon ke paron ke

KHushk hone ki duaen mangta hun!

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Likhna Bhul Jata Hun In English By Famous Poet Mahmood Sana. Lafz Likhna Bhul Jata Hun is written by Mahmood Sana. Read famous Poem Lafz Likhna Bhul Jata Hun for youth and Student by Mahmood Sana. Free Download Lafz Likhna Bhul Jata Hun in PDF.