Aune-paune Ghazlen Bechin Nazmon Ka Bewpar Kiya

aune-paune ghazlen bechin nazmon ka bewpar kiya

dekho hum ne peT ki KHatir kya kya karobar kiya

is basti ke log to sab the chalti phirti diwaren

hum ne rang luTati shab se ujle dinon se pyar kiya

zehn se ek ek kar ke teri sari baaten utar gain

kabhi kabhi to waqt ne hum ko aisa bhi na-chaar kiya

apna-ap bhi khoya hum ne logon se bhi chhuTa sath

ek sae ki dhun ne hum ko kaise kaise KHar kiya

sare ahd ka bojh tha sar par dil mein sare jahan ka gham

waqt ka jalta ubalta sahra hum ne jis dam par kiya

jagti galiyon unche gharon mein zard andhera nachta hai

jis lamhe se hum Darte the us ne aaKHir war kiya

sham ki ThanDi aahon mein bhi teri KHushbu shamil thi

raat gae tak peDon ne bhi tera zikr-azkar kiya

(529) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aune-paune Ghazlen Bechin Nazmon Ka Bewpar Kiya In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Aune-paune Ghazlen Bechin Nazmon Ka Bewpar Kiya is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Aune-paune Ghazlen Bechin Nazmon Ka Bewpar Kiya for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Aune-paune Ghazlen Bechin Nazmon Ka Bewpar Kiya in PDF.