Mere Liye Teri Nazron Ki Raushni Hai Bahut

mere liye teri nazron ki raushni hai bahut

ki dekh lun tujhe pal bhar mujhe yahi hai bahut

ye aur baat ki chahat ke zaKHm gahre hain

tujhe bhulane ki koshish to warna ki hai bahut

kuchh is KHata ki saza bhi to kam nahin milti

gharib-e-shahr ko ek jurm-e-agahi hai bahut

kahan se laun wo chehra wo guftugu wo ada

hazar husn hai galiyon mein, aadmi hai bahut

kabhi to mohlat-e-nazzara nikhat-e-guzaran

labon pe aag sulagti hai tishnagi hai bahut

kisi ne hans ke jo dekha to ho gae us ke

ki is zamane mein itni si baat bhi hai bahut

(448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Liye Teri Nazron Ki Raushni Hai Bahut In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Mere Liye Teri Nazron Ki Raushni Hai Bahut is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Mere Liye Teri Nazron Ki Raushni Hai Bahut for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Mere Liye Teri Nazron Ki Raushni Hai Bahut in PDF.