Kitni Shiddat Se Tujhe Chaha Tha

kitni shiddat se tujhe chaha tha

kabhi kuchh aur nahin socha tha

khoe the aise teri chahat mein

TuT ke abr-e-junun barsa tha

meri har soch mein thi teri hi soch

mera har lamha tera lamha tha

jab bhi paDte the KHayalon ke bhanwar

tera chehra hi ubhar aata tha

un dinon jism ki rag rag mein rawan

KHun kahan KHwahishon ka dariya tha

yaad hai aaj bhi sanson ki mahak

waqt apne liye ruk jata tha

jab chamakta tha badan ka suraj

dhup ban kar main bikhar jata tha

TuT jata tha zamanon ka sukut

dafatan sham ko phone aata tha

rang-e-pairahan-e-ehsas thi tu

main nigah-e-talab-e-tishna tha

tu nasim-e-sahar mausam-e-gul

main ki ek TuTa hua patta tha

reza reza hua qasr-e-pindar

be-tarah zor-e-badan TuTa tha

war di aaj tere dar pe ana

bojh sadiyon se uTha rakkha tha

rahen banhen to dariche aankhen

ye tera shahr bhi tujh jaisa tha

umr-bhar apne hi shoalon mein jala

main ki suraj ki tarah tanha tha

garm hain rang ke bazar yahan

itna sannaTa kahan hota tha

panw niche se zamin bhi nikli

main KHalaon ki taraf lapka tha

subh ki tarah wo be-rang hai ab

'sham' ki tarah jise chaha tha

(2589) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitni Shiddat Se Tujhe Chaha Tha In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Kitni Shiddat Se Tujhe Chaha Tha is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Kitni Shiddat Se Tujhe Chaha Tha for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Kitni Shiddat Se Tujhe Chaha Tha in PDF.