Muddaton Baad Wo Galiyan Wo Jharoke Dekhe

muddaton baad wo galiyan wo jharoke dekhe

jism ki rakh se uThte hue shoale dekhe

dil mein dar aain gai saaten KHushbu ban kar

sadiyon ki nind se phir jagte lamhe dekhe

rang barsati wahi subh wahi bhigti sham

wahi ehsas mein Dube hue sae dekhe

ek ek moD mile bichhDe KHayalon ke hujum

sune darwazon mein phir chand se chehre dekhe

ek ek aankh pe lamhon ka fusun tari hai

kaun us waqt ki diwar se aage dekhe

tah mein baste hain chamakte hue rangon ke nagar

koi is ghor andhere mein utar ke dekhe

'sham' jab toD liya us se tha jo bhi rishta

apne izhaar ke phir kitne hi raste dekhe

(1985) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddaton Baad Wo Galiyan Wo Jharoke Dekhe In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Muddaton Baad Wo Galiyan Wo Jharoke Dekhe is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Muddaton Baad Wo Galiyan Wo Jharoke Dekhe for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Muddaton Baad Wo Galiyan Wo Jharoke Dekhe in PDF.