Kis Rang Mein Hain Ahl-e-wafa Us Se Na Kahna

kis rang mein hain ahl-e-wafa us se na kahna

kyun phul hain KHushbu se juda us se na kahna

Dubi nahin muddat se jo nazron ke bhanwar mein

is aankh ka jo haal hua us se na kahna

yaadon ke dar-o-baam pe ek nam wahi nam

kya jaane kai bar likha us se na kahna

lipTi thi darichon se hasin chandni kaise

kya kya mujhe taron ne kaha us se na kahna

bujhti hi nahin pyas yahan jalte labon ki

bin barse guzarti hai ghaTa us se na kahna

bikhri thin kabhi rangaten us sune nagar mein

ab 'sham' na KHushbu na hawa us se na kahna

(1915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Rang Mein Hain Ahl-e-wafa Us Se Na Kahna In English By Famous Poet Mahmood Shaam. Kis Rang Mein Hain Ahl-e-wafa Us Se Na Kahna is written by Mahmood Shaam. Read famous Poem Kis Rang Mein Hain Ahl-e-wafa Us Se Na Kahna for youth and Student by Mahmood Shaam. Free Download Kis Rang Mein Hain Ahl-e-wafa Us Se Na Kahna in PDF.