Wahshat-e-gham Mein Achanak Tere Aane Ka KHayal

wahshat-e-gham mein achanak tere aane ka KHayal

jaise nadar ko gum-gashta KHazane ka KHayal

is mohabbat mein hadaf koi bhi ban sakta hai

is mein rakkha nahin jata hai nishane ka KHayal

wo kabutar to usi din se mere jal mein hai

jab use pahle-pahal aaya tha dane ka KHayal

main kinaron ko kabhi dhyan mein lata hi nahin

lutf deta hai mujhe Dubte jaane ka KHayal

marne deta nahin main baadiya-gardi ka riwaj

main nae ishq mein lata hun purane ka KHayal

ai KHuda mere muqaddar mein wo sajda likh de

jis mein aae na mujhe sar ko uThane ka KHayal

(436) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat-e-gham Mein Achanak Tere Aane Ka KHayal In English By Famous Poet Mahmood Taseer. Wahshat-e-gham Mein Achanak Tere Aane Ka KHayal is written by Mahmood Taseer. Read famous Poem Wahshat-e-gham Mein Achanak Tere Aane Ka KHayal for youth and Student by Mahmood Taseer. Free Download Wahshat-e-gham Mein Achanak Tere Aane Ka KHayal in PDF.