Ab Jald Ye Be-abi-e-mausam Ki Bala Jae

ab jald ye be-abi-e-mausam ki bala jae

ashjar ki fariyaad se sailab na aa jae

itna bhi lahu ko na junun-KHez kiya jae

phuTe rag-e-gul se to rag-e-sang mein aa jae

barish hai to aisi ki laraz jae zamin bhi

pani hai ki miTTi ko bhi talwar bana jae

log aise ki sine ki kapaT shishe pe likh den

hum aise ki patthar ko bhi patthar na kaha jae

itna bhi na ho sehn ki dar tak main pahunch kar

dar kholun to darwesh-e-dua-go hi chala jae

apna hi lahu qatil-e-tahzib-o-nasab hai

is shahr mein kis kis se KHabar-dar raha jae

(340) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Jald Ye Be-abi-e-mausam Ki Bala Jae In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Ab Jald Ye Be-abi-e-mausam Ki Bala Jae is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Ab Jald Ye Be-abi-e-mausam Ki Bala Jae for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Ab Jald Ye Be-abi-e-mausam Ki Bala Jae in PDF.