Diyon Ko KHud Bujha Kar Rakh Diya Hai

diyon ko KHud bujha kar rakh diya hai

aur ilzam ab hawa par rakh diya hai

kisi sar par rakha hai hath us ne

kisi gardan pe KHanjar rakh diya hai

ye kya bahar se aai lahr jis ne

bujha kar ghar ka manzar rakh diya hai

ajab hain us gali ke dur-andesh

diya rakhna tha patthar rakh diya hai

baDe mauji nahangan-e-tah-e-ab

samundar ko hila kar rakh diya hai

ye midhat-gar bhi hain kya kar-pardaz

zamin ko aasman par rakh diya hai

rakha bachchon mein jazb-e-razm bhi kuchh

khilaunon ka to lashkar rakh diya hai

hisar-e-gard-baad apna Thikana

aur us ka nam bhi ghar rakh diya hai

likkhe yaron ne kuchh nukte bhi ya phir

faqat lafzon ka daftar rakh diya hai

rakha marham hi ghayal ungliyon par

qalam kab hum ne 'mahshar' rakh diya hai

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diyon Ko KHud Bujha Kar Rakh Diya Hai In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Diyon Ko KHud Bujha Kar Rakh Diya Hai is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Diyon Ko KHud Bujha Kar Rakh Diya Hai for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Diyon Ko KHud Bujha Kar Rakh Diya Hai in PDF.