Ek Be-nam Si Diwar Hai Bahar Mere

ek be-nam si diwar hai bahar mere

kaun jaane jo naya shahr hai andar mere

fan ke paimane subuk harf ke kuze nazuk

kaise samjhaun ki kuchh dukh hain samundar mere

koi mausam ho meri chhap mera rang apna hai

meri ye waza ki be-waza hain manzar mere

mere hi ruKH ka araq jauahr-e-gul-ha-e-hunar

zar-gari kaam mera zaKHm muqaddar mere

kaise main panw ki gardish ko ghalat Thahraun

ki hai gardish hi ka ehsan lahu par mere

ab ke bhi chashm-e-numu jagi to kya farq paDa

wahi surat ki samar auron ke patthar mere

tajraba kar le mere shahr ki sarhad pe ghanim

lauh-e-maidan mera harf hain lashkar mere

aane walon se kaho yun na karen shor buland

kai ghar aur bhi hain ghar ke barabar mere

bol hain ras na sahi lamhe mein narmi na sahi

kuchh to hai baat jo shohre hain ye 'mahshar' mere

(334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Be-nam Si Diwar Hai Bahar Mere In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Ek Be-nam Si Diwar Hai Bahar Mere is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Ek Be-nam Si Diwar Hai Bahar Mere for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Ek Be-nam Si Diwar Hai Bahar Mere in PDF.