Kise Dekhte Kise Puchhte Ki Hum Aap Kushta-e-haal The

kise dekhte kise puchhte ki hum aap kushta-e-haal the

sar-e-lab kuchh aur the masale pas-e-jaan kuchh aur sawal the

jo lahuluhan kiye gae sar-e-rah jo mar diye gae

wo shaghaal to na the dasht ke mere shahr hi ke ghazal the

uTha parda ru-e-guman se jab to khula ajab hi tilsim-e-shab

wo tamam chehre bhi KHwab the wo sab aaine bhi KHayal the

baDhe jitne rah mein pech-o-KHam hua aur jazb-e-safar baham

jo malal the mere ham-qadam kahin thamne wale malal the

baDi sabr-kash thin masafaten ki qadam qadam thin qayamaten

meri himmaten to nihaal thin mere hausle to bahaal the

(336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kise Dekhte Kise Puchhte Ki Hum Aap Kushta-e-haal The In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Kise Dekhte Kise Puchhte Ki Hum Aap Kushta-e-haal The is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Kise Dekhte Kise Puchhte Ki Hum Aap Kushta-e-haal The for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Kise Dekhte Kise Puchhte Ki Hum Aap Kushta-e-haal The in PDF.