Kitne Din Habs-e-musalsal Mein Basar Hote Hain

kitne din habs-e-musalsal mein basar hote hain

baDe ashaar baDe gham ka samar hote hain

hikmat-e-waqt bhi karti hai ata jin ko KHiraj

main isi soch mein hun kya wo hunar hote hain

mustaqil bojh na Thahrae sabhi ko ye zamin

izzat-e-KHak bhi kuchh KHak-basar hote hain

KHali shaKHon ka bhi hota hai bhala koi maqam

jo shajar chhanw bichha den wo shajar hote hain

ham-safar kaisi biTha jate hain gard aankhon mein

jab wo be-KHwab-e-safar KHwab-e-safar hone hain

sham kuchh achchha nazar aata hai basti ka saman

subh hoti hai to haalat digar hote hain

kya hui zabta-e-nzm ki baala-dasti

log ab qatl sar-e-rahguzar hote hain

raKHna-e-zar-talaban sarzanish-e-tira-shaban

aise qisse to yahan sham o sahar hote hain

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitne Din Habs-e-musalsal Mein Basar Hote Hain In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Kitne Din Habs-e-musalsal Mein Basar Hote Hain is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Kitne Din Habs-e-musalsal Mein Basar Hote Hain for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Kitne Din Habs-e-musalsal Mein Basar Hote Hain in PDF.