Na Khaali Zehn Yun Duniya Ka Rah Jae

na KHali zehn yun duniya ka rah jae

ki sara kaam naqsh-e-pa ka rah jae

zaminon par na yun qabza karen shahar

koi to rasta sahra ka rah jae

mere bare mein lahren kuchh bhi sochen

main kahta hun bharam dariya ka rah jae

jo rah-e-jaan mein zahir naqsh-e-jaan ho

safar aadha safar-paima ka rah jae

numud-e-zaKHm kam aur ye tamanna

qafas ho kar qafas-ara ka rah jae

alag hi us ka naghma hai shajar par

qayam us tair-e-tanha ka rah jae

(357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Khaali Zehn Yun Duniya Ka Rah Jae In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Na Khaali Zehn Yun Duniya Ka Rah Jae is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Na Khaali Zehn Yun Duniya Ka Rah Jae for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Na Khaali Zehn Yun Duniya Ka Rah Jae in PDF.