Zindagi Bhar Hum Lab-e-dariya Rahe

zindagi bhar hum lab-e-dariya rahe

aur sarabon ki tarah tishna rahe

meri tariki se ghar kyun ho siyah

aankhen bujh jaen diya jalta rahe

ban gae har ahd ke dil ki umang

zinda log is tarah bhi zinda rahe

zulm dekho qasr-e-ishrat hum banaen

aur hamin par band darwaza rahe

jagti aankhon se kya aae nazar

aadmi ka zehn agar soya rahe

'mahshar' is taron ki duniya mein mudam

chand ki manind hum tanha rahe

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Bhar Hum Lab-e-dariya Rahe In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Zindagi Bhar Hum Lab-e-dariya Rahe is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Zindagi Bhar Hum Lab-e-dariya Rahe for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Zindagi Bhar Hum Lab-e-dariya Rahe in PDF.