Bachcha Aur Murgha

ek bachche ne murghe se kaha

pyare murghe ye shor hai kya

sun sun teri kukDun-kun

main saKHt pareshan hota hun

jab tare chhupte hote hain

sab chain aaram se sote hain

us waqt se tu chillata hai

kyun itna shor machata hai

malum ho aaKHir baat hai kya

kuchh apne dil ka haal bata

ja dur macha ye shor kahin

paDhne mein dil lagta hi nahin

murghe ne suna bachche ka bayan

bola na ho naraaz miyan

tum sab nind ke mate ho

so so waqt ganwate ho

ye main jo shor machata hun

malik ko pukare jata hun

ye meri ibaadat hai pyare

allah ki taat hai pyare

main qahr se us ke Darta hun

har waqt ibaadat karta hun

jab subh ko bang main deta hun

aur nam KHuda ka leta hun

tum kitne ghafil hote ho

main jagta hun tum sote ho

(1178) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bachcha Aur Murgha In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Bachcha Aur Murgha is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Bachcha Aur Murgha for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Bachcha Aur Murgha in PDF.