KHush Hain Bahut Mizaj-e-zamana Badal Ke Hum

KHush hain bahut mizaj-e-zamana badal ke hum

lekin ye sher kis ko sunaen ghazal ke hum

ai maslahat chalen bhi kahan tak sambhal ke hum

andaz kah rahe hain ki insan hain kal ke hum

shayad urus-e-zist ka ghunghaT ulaT gaya

ab DhunDne lage hain sahaare ajal ke hum

badlen zara nigah ke andaz aap bhi

uTThe hain kuchh usul wafa ke badal ke hum

jaise thaka thaka koi gum-karda karwan

uThte hain baiTh jate hain kuchh dur chal ke hum

hansna to darkinar hai ro bhi nahin sake

'mahshar' chale hain kis ki gali se nikal ke hum

(536) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHush Hain Bahut Mizaj-e-zamana Badal Ke Hum In English By Famous Poet Mahshar Inayati. KHush Hain Bahut Mizaj-e-zamana Badal Ke Hum is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem KHush Hain Bahut Mizaj-e-zamana Badal Ke Hum for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download KHush Hain Bahut Mizaj-e-zamana Badal Ke Hum in PDF.