Masarraton Ki Saaton Mein IKHtisar Kar Liya
masarraton ki saaton mein iKHtisar kar liya
hayat-e-gham ko hum ne aur sazgar kar liya
qasam jab us ne khai hum ne e'tibar kar liya
zara si der zindagi ko KHush-gawar kar liya
wo aaj chahte the baat kuchh baDhe magar wo hum
ki baat baat par sukut iKHtiyar kar liya
kaho ki mehr-e-subh-tab aae ho ke be-naqab
koi bas aa chuka kisi ka intizar kar liya
qadam qadam pe hadse qadam qadam pe inqilab
hamein to dekho zindagi ka e'tibar kar liya
(377) Peoples Rate This