Nazar Hairat-zada Si Hai Qadam Bahke Hue Se Hain

nazar hairat-zada si hai qadam bahke hue se hain

shabab aaya hai un par aur hum bahke hue se hain

abhi un ke karam ki baat apne husn-e-zan tak hai

magar ummid-waran-e-karam bahke hue se hain

wafa ke silsile mein ho hi jati hai ghalat-fahmi

wo bahkae gae se hain na hum bahke hue se hain

baDe zi-hosh bante the mai-e-ishrat ke matwale

hua hai jab se kuchh ehsas-e-gham bahke hue se hain

unhen aaina-ruKH kahiye unhin ke samne ja kar

ye andaza to hota hai ki hum bahke hue se hain

kaha karte the hum akasr ki rah-e-zindagi hai kya

jo ab dekhe hain us ke pech-o-KHam bahke hue se hain

meri duniya hai ye ahl-e-junun kya hosh wale kya

meri duniya mein sab hi besh-o-kam bahke hue se hain

KHuda rakkhe chale hain manzil-e-jaanan ko sar karne

wo dekho na yahin jin ke qadam bahke hue se hain

har ek ne mujh ko diwana hi Thahraya hai ai 'mahshar'

sabhi qissa-nigaron ke qalam bahke hue se hain

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Hairat-zada Si Hai Qadam Bahke Hue Se Hain In English By Famous Poet Mahshar Inayati. Nazar Hairat-zada Si Hai Qadam Bahke Hue Se Hain is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem Nazar Hairat-zada Si Hai Qadam Bahke Hue Se Hain for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download Nazar Hairat-zada Si Hai Qadam Bahke Hue Se Hain in PDF.