Dekha Jo Saya Shab Mein Ye Samjha Nigah Ne

dekha jo saya shab mein ye samjha nigah ne

shayad wo aaj aa gae wada nibahane

viran si is nawah mein aata hi kaun tha

aabaad kar diya hai ise qatl-gah ne

un qatilon pe kaun muqadma chalaega

jin ko liya panah mein aalam-panah ne

har baat pe jo mujh se ye kahte hain chup raho

kya apne husn ko bhi na denge sarahne

qaem unhin faqiron ke dam se thi saltanat

jin ko kiya hai mulk-badar sarbarah ne

achchha hua sahar ne ulaT di naqab-e-fikr

bhaTka diya tha raat mujhe wah wah ne

kaghaz agar siyah karen to karen harif

suraj ugae hain meri fikr-o-nigah ne

(361) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekha Jo Saya Shab Mein Ye Samjha Nigah Ne In English By Famous Poet Mahtab Alam. Dekha Jo Saya Shab Mein Ye Samjha Nigah Ne is written by Mahtab Alam. Read famous Poem Dekha Jo Saya Shab Mein Ye Samjha Nigah Ne for youth and Student by Mahtab Alam. Free Download Dekha Jo Saya Shab Mein Ye Samjha Nigah Ne in PDF.