Ab Rahe Ya Na Rahe Koi Malal-e-duniya

ab rahe ya na rahe koi malal-e-duniya

khinchti hai mera dil chashm-e-ghazal-e-duniya

lo utarti hai badan se mere KHaki poshak

lo hua jata hun main sarf-e-kamal-e-duniya

miT rahe hain mere andar ke sabhi naqsh-o-nigar

ban rahe hain mere bahar KHad-o-KHal-e-duniya

tere chehre ka fusun bhi nazar aae to kahin

koi aaina dikhata hai jamal-e-duniya

bas yahi naKHl-e-hawas hai jo rahega sarsabz

tera iqbaal siwa taza nihaal-e-duniya

main bhi hairan mera dil bhi pashiman sa hai

jism ke hath hua jab se visal-e-duniya

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Rahe Ya Na Rahe Koi Malal-e-duniya In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Ab Rahe Ya Na Rahe Koi Malal-e-duniya is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Ab Rahe Ya Na Rahe Koi Malal-e-duniya for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Ab Rahe Ya Na Rahe Koi Malal-e-duniya in PDF.