Kisi Ke Ghar Na Mah O Sal Ke Mausam Mein Rahte Hain

kisi ke ghar na mah o sal ke mausam mein rahte hain

ki hum hijr-o-visal-e-yar ke aalam mein rahte hain

wahi gul-gun qaba-e-yar hai nazzara-e-hairat

usi na-mehrban ke gesu-e-pur-KHam mein rahte hain

wahi pyasi zamin hai halqa-e-zanjir ki surat

wahi ek aasman jis ke tale shabnam mein rahte hain

hamein ye rang-o-bu ki baat ab achchhi nahin lagti

bura kya hai jo hum apni hi chashm-e-nam mein rahte hain

guzar hi jaegi umr-e-rawan aahista aahista

agarche ilm hai hum ek dam-e-be-dam mein rahte hain

(403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ke Ghar Na Mah O Sal Ke Mausam Mein Rahte Hain In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Kisi Ke Ghar Na Mah O Sal Ke Mausam Mein Rahte Hain is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Kisi Ke Ghar Na Mah O Sal Ke Mausam Mein Rahte Hain for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Kisi Ke Ghar Na Mah O Sal Ke Mausam Mein Rahte Hain in PDF.