Jin Ki Hasrat Mein Dil-e-ruswa Ne Gham Khae Bahut

jin ki hasrat mein dil-e-ruswa ne gham khae bahut

sang hum par in darichon ne hi barsae bahut

raushni madum gahre ho chale sae bahut

jaane kyun tum aaj ki shab mujh ko yaad aae bahut

qismat-e-ahl-e-qafas phulon ki KHushbu bhi nahin

yun to gulshan mein saba ne phul mahkae bahut

log is ko bhi agar kahte hain to kah len bahaar

muskurae kam shagufe aur murjhae bahut

ek aansu bhi gire to gunj uThti hai zamin

aaj to hum apni tanhai se ghabrae bahut

ek rasm-e-sarfaroshi thi so ruKHsat ho gai

yun to diwane hamare baad bhi aae bahut

ishrat-e-hasti pe thi 'mahtab' duniya ki nazar

dil ko kya kahiye ki us ne dard apnae bahut

(456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin Ki Hasrat Mein Dil-e-ruswa Ne Gham Khae Bahut In English By Famous Poet Mahtab Zafar. Jin Ki Hasrat Mein Dil-e-ruswa Ne Gham Khae Bahut is written by Mahtab Zafar. Read famous Poem Jin Ki Hasrat Mein Dil-e-ruswa Ne Gham Khae Bahut for youth and Student by Mahtab Zafar. Free Download Jin Ki Hasrat Mein Dil-e-ruswa Ne Gham Khae Bahut in PDF.