Iqbaal Ka Sher

iman ki tafsir qalandar ka tarana

samjhe to palaT aae bulandi pe zamana

bebak nigahon ka falak-bos ishaara

sangin chaTanon se guzarta hua dhaara

be-tabi-e-fitrat ki sukun-baKHsh kahani

shoalon se banai hui shabnam ki rawani

ashkon mein nahai hui ek mauj-e-tabassum

mallah ka girdab mein jis tarah tarannum

ilham mein takmil-e-haqiqat ki adaen

shahin ki parwaz mujahid ki nawaen

soi hui qismat ko jagata hua naghma

har sans ko hangama banata hua naghma

patjhaD ki taraf dekh ke hansta hua baadal

sukhe hue kheton pe barasta hua baadal

ek barq sar-e-tur takallum ke sahaare

ek jalwa-e-mastur tarannum ke sahaare

ek shama rah-e-shauq mein manzil ki nishani

ek paikar-e-lafzi ki nawa-KHez jawani

ek ruh jo insan ko insan bana de

ek dard jo jazbaat ko iman bana de

'iqbaal' ka har sher hai mai-KHana-e-hasti

har rind ko deta hai jo paimana-e-hasti

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iqbaal Ka Sher In English By Famous Poet Maikash Akbarabadi. Iqbaal Ka Sher is written by Maikash Akbarabadi. Read famous Poem Iqbaal Ka Sher for youth and Student by Maikash Akbarabadi. Free Download Iqbaal Ka Sher in PDF.