Bharam Khulne Na Pae Bandagi Ka

bharam khulne na pae bandagi ka

wo matam kar rahe hain zindagi ka

tajjub hai KHulus-e-dostan par

nahin gham dushmanon ki dushmani ka

bhaDak uThti hai dil mein aatish-e-gham

KHayal aata hai jab un ki gali ka

abhi hai band aankh insaniyat ki

abhi dam ghuT raha hai aadmi ka

tumhaari yaad ne ki rahnumai

KHayal aaya mujhe jab be-KHudi ka

lagi dil ki ho alfaz-o-bayan mein

yahi ek KHas fan hai shairi ka

wahi dushman bane baiThe hain 'maikash'

jo dam bharte the apni dosti ka

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bharam Khulne Na Pae Bandagi Ka In English By Famous Poet Maikash Nag Puri. Bharam Khulne Na Pae Bandagi Ka is written by Maikash Nag Puri. Read famous Poem Bharam Khulne Na Pae Bandagi Ka for youth and Student by Maikash Nag Puri. Free Download Bharam Khulne Na Pae Bandagi Ka in PDF.