Mera Diwangi Par Is Qadar Maghrur Ho Jaana

mera diwangi par is qadar maghrur ho jaana

ki rafta rafta hadd-e-agahi se dur ho jaana

pata deta hai gumrahi-e-rahgir-e-mohabbat ka

bichhaDna aur bichhaD kar qafile se dur ho jaana

kahin duniya-e-ulfat ko tah-o-baala na kar Dale

ghurur-e-husn ke aain ka dastur ho jaana

azal se tira-baKHt-e-ishq ke hisse mein aaya hai

shab-e-gham-e-dil ka jal jal kar charagh-e-tur ho jaana

meri danist-e-naqis mein kamal-e-KHud-numai hai

zamin se aasman tak aap ka mashhur ho jaana

kisi ka jashn-e-azadi manana hai bahut aasan

magar dushwar hai ghaarat-gar-e-jamhur ho jaana

ragon ka KHun rafta rafta ThanDa ho chala 'maikash'

mere dard-e-jigar ko aa gaya kafur ho jaana

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Diwangi Par Is Qadar Maghrur Ho Jaana In English By Famous Poet Maikash Nag Puri. Mera Diwangi Par Is Qadar Maghrur Ho Jaana is written by Maikash Nag Puri. Read famous Poem Mera Diwangi Par Is Qadar Maghrur Ho Jaana for youth and Student by Maikash Nag Puri. Free Download Mera Diwangi Par Is Qadar Maghrur Ho Jaana in PDF.