Zamin Ke Chand-sitaron Ko Nind Aati Hai

zamin ke chand-sitaron ko nind aati hai

hayat-baKHsh bahaaron ko nind aati hai

abhi chaman ka muqaddar chamak nahin sakta

abhi chaman ki bahaaron ko nind aati hai

janaza ashkon ka palkon ke dosh par hai abhi

isi liye to nazaron ko nind aati hai

nizam-e-bazm-e-gulistan badal gaya shayad

chaman ki god mein KHaron ko nind aati hai

ab inqilab-e-zamana ki fikr kaun kare

teri nigah ke maron ko nind aati hai

na Dub jae kahin nabz-e-zindagi 'maikash'

sahar ka waqt hai taron ko nind aati hai

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Ke Chand-sitaron Ko Nind Aati Hai In English By Famous Poet Maikash Nag Puri. Zamin Ke Chand-sitaron Ko Nind Aati Hai is written by Maikash Nag Puri. Read famous Poem Zamin Ke Chand-sitaron Ko Nind Aati Hai for youth and Student by Maikash Nag Puri. Free Download Zamin Ke Chand-sitaron Ko Nind Aati Hai in PDF.