Dhund Ke Par

dhund ke pare ek din

raushni ke haale mein

wo mujhe nazar aaya

jaise dewta koi

muntazir ho dasi ka

main ne ru-ba-ru ho kar

us se iltija ki thi

doge raushni apni mustaar leni hai

har taraf andhera hai

mezbani karni hai

kuchh KHarab haalon ki

ruh ki kasafat ka

dil pe bojh hai jin ke

chand zaKHm aise hain

jo ki bhar na paenge

gar nahin mile un ko

raushni ke ye haale

meri baat sun kar wo

muskura ke bola tha

be-niyaz shahzadi

jaan kyun nahin letin

raushni ka rauzan to

sirf tum se khulta hai

dhundlata har manzar

is liye to wazeh hai

jhilmilati ye kirnen

tum se hi to phuTi hain

KHud ko joD lo KHud se

raushni to tum se hai

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhund Ke Par In English By Famous Poet Maimoona Abbas Khan. Dhund Ke Par is written by Maimoona Abbas Khan. Read famous Poem Dhund Ke Par for youth and Student by Maimoona Abbas Khan. Free Download Dhund Ke Par in PDF.