Aise Chhute Hain Tasawwur Mein Tujhe Hum Chup-chap

aise chhute hain tasawwur mein tujhe hum chup-chap

jaise phulon ko chhua karti hai shabnam chup-chap

tark-e-ulfat pe bhi kar jate hain akasr gumrah

mere KHwabon ko tere gesu-e-pur-KHam chup-chap

jaise karti hi nahin tang hamein ye masum

kaise jati hai shab-e-hijr sahar-dam chup-chap

koi milta hi nahin us ko suKHan ka mauzua

baiThi rahti hai mere pas shab-e-gham chup-chap

shorish-e-waqt ne baKHshi nahin ja-e-afsos

yani karna hi paDa zist ka matam chup-chap

mauj-e-hangam-e-charaghan hai na wo rang-e-abir

shoKHi-e-id bhi KHamosh moharram chup-chap

meri aankhen hain tere husn ki goya taswir

main ne dekha hai tere husn ka aalam chup-chap

daur-e-iblis ke ye baada-gusaran 'majaz'

pite rahte hain jahannam ka jahannam chup-chap

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aise Chhute Hain Tasawwur Mein Tujhe Hum Chup-chap In English By Famous Poet Majaz Jaipuri. Aise Chhute Hain Tasawwur Mein Tujhe Hum Chup-chap is written by Majaz Jaipuri. Read famous Poem Aise Chhute Hain Tasawwur Mein Tujhe Hum Chup-chap for youth and Student by Majaz Jaipuri. Free Download Aise Chhute Hain Tasawwur Mein Tujhe Hum Chup-chap in PDF.