Aur Ab Ye Kahta Hun Ye Jurm To Rawa Rakhta

aur ab ye kahta hun ye jurm to rawa rakhta

main umr apne liye bhi to kuchh bacha rakhta

KHayal-subhon kiran-sahilon ki oT sada

main motiyon jaDi bansi ki lai jaga rakhta

jab aasman pe KHudaon ke lafz Takraate

main apni soch ki be-harf lau jala rakhta

hawa ke sayon mein hijr aur hijraton ke wo KHwab

main apne dil mein wo sab manzilen saja rakhta

inhin hadon tak ubharti ye lahar jis mein hun main

agar main sab ye samundar bhi waqt ka rakhta

palaT paDa hun shuaon ke chithDe oDhe

nasheb-e-zina-e-ayyam par asa rakhta

ye kaun hai jo meri zindagi mein aa aa kar

hai mujh mein khoe mere ji ko DhunDta rakhta

ghamon ke sabz tabassum se kunj mahke hain

samay ke sam ke samar hain main aur kya rakhta

kisi KHayal mein hun ya kisi KHala mein hun

kahan hun koi jahan to mera pata rakhta

jo shikwa ab hai yahi ibtida mein tha 'amjad'

karim tha meri koshish mein intiha rakhta

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Ab Ye Kahta Hun Ye Jurm To Rawa Rakhta In English By Famous Poet Majeed Amjad. Aur Ab Ye Kahta Hun Ye Jurm To Rawa Rakhta is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Aur Ab Ye Kahta Hun Ye Jurm To Rawa Rakhta for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Aur Ab Ye Kahta Hun Ye Jurm To Rawa Rakhta in PDF.