Phir To Sab Hamdard Bahut Afsos Ke Sath Ye Kahte The

phir to sab hamdard bahut afsos ke sath ye kahte the

KHud hi laDe bhanwar se kyun zahmat ki hum jo baiThe the

dilon ke ilmon se wo ujala tha har chehra kala tha

yun to kisi ne apne bhed kisi ko nahin batae the

mathe jab sajdon se uThe to safon safon jo farishte the

sab is shahr ke the aur hum in sab ke jaanne wale the

ahl-e-huzur ki baat na puchho kabhi kabhi un ke din bhi

soz-e-safa ki ek safrawi uktahaT mein kaTte the

qalinon par baiTh ke azmat wale sog mein jab roe

dimak lage zamir is izzat-e-gham par kya itrae the

jin ki jibh ke kunDal mein tha nish-e-aqrab ka paiwand

likkha hai un bad-suKHanon ki qaum pe azhdar barse the

jin ke lahu se nikhar rahi hain ye sarsabz hameshgiyan

azlon se wo sadiq jazbon tayyab rizqon wale the

(523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir To Sab Hamdard Bahut Afsos Ke Sath Ye Kahte The In English By Famous Poet Majeed Amjad. Phir To Sab Hamdard Bahut Afsos Ke Sath Ye Kahte The is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Phir To Sab Hamdard Bahut Afsos Ke Sath Ye Kahte The for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Phir To Sab Hamdard Bahut Afsos Ke Sath Ye Kahte The in PDF.