Har Jaanib Hain

har jaanib hain dilon zamiron mein kale tufanon wale lafz hazaron ghani bhawon ke niche

ghat mein

ab to mere labon tak aa bhi harf-e-zinda

har jaanib galiyon ke daldali talabon mein be-satar hirasan khaDi hain ruhen

qadam khube hain nile kichaD mein aur un ki Dubti nazron mein ek bar zara teri thi un ki zindagi

abhi abhi ek pal ko

aur ab phir kale tufan wale lafz un ke liye jaane kya kya sandese lae hain

un ko zinda rakhiyo harf-e-zinda

muddaton se be-yaad hai tu mere nisyanon mein ai harf zinda

ab tu mere labon par aa bhi

ab jab mere dekhte dekhte kale tufan wale lafzon ka aabi farsh

ek

bichh bichh gaya hai dur ufuq ke pichhe kahin in paniyon tak jin par ek naKHuda paighambar ki duaon

ke bajre taire the

mere nisyanon mein jahanda harf-e-zinda

tere manon mein mawwaj hain wo sab ilm jo ruhon ko khate hain us ek ghaT ki samt

jahan ummid aur KHauf ke DanDe mil jate hain

ab to sari duniya mein se jis ek shaKHs ko Dubna hai wo main hun

ab to sari duniya mein wo shaKHs jo tair ke bach niklega main hun

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Jaanib Hain In English By Famous Poet Majeed Amjad. Har Jaanib Hain is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Har Jaanib Hain for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Har Jaanib Hain in PDF.