Ek Nau-bahaar-e-naz Ko Mehman Karenge Hum

ek nau-bahaar-e-naz ko mehman karenge hum

har dagh-e-dil ko rashk-e-gulistan karenge hum

saghar mein nur-e-dida-e-anjum unDel kar

phir tirgi-e-gham mein charaghan karenge hum

uD jaengi faza mein bahaaron ki dhajjiyan

jis waqt tar tar gareban karenge hum

kahte hain aasman pe wo zulfen bikher kar

jhulsi hui zamin pe ehsan karenge hum

ji bhar ke hum ko kar le pareshan aasman

ek roz aasman ko pareshan karenge hum

ai waqt san ki aaega jab bhi hamara waqt

tufan ko mauj mauj ko tufan karenge hum

jab tak hamare samne jam-e-sharab hai

barham mizaj-e-gardish-e-dauran karenge hum

wo aarzu ki dil se zaban tak na aa sake

kuchh is ka tazkira bhi meri jaan karenge hum

dur KHizan se koi kahe ja ke a 'majid'

phir ehtimam-e-jashn-e-bahaaran karenge hum

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Nau-bahaar-e-naz Ko Mehman Karenge Hum In English By Famous Poet Majeed Lahori. Ek Nau-bahaar-e-naz Ko Mehman Karenge Hum is written by Majeed Lahori. Read famous Poem Ek Nau-bahaar-e-naz Ko Mehman Karenge Hum for youth and Student by Majeed Lahori. Free Download Ek Nau-bahaar-e-naz Ko Mehman Karenge Hum in PDF.