Ahl-e-tufan Aao Dil-walon Ka Afsana Kahen

ahl-e-tufan aao dil-walon ka afsana kahen

mauj ko gesu bhanwar ko chashm-e-jaanana kahen

dar par chaDh kar lagaen nara-e-zulf-e-sanam

sab hamein ba-hosh samjhen chahe diwana kahen

yar-e-nukta-dan kidhar hai phir chalen us ke huzur

zindagi ko dil kahen aur dil ko nazrana kahen

thamen us but ki kalai aur kahen is ko junun

chum len munh aur ise andaz-e-rindana kahen

surKHi-e-mai kam thi main ne chhu liye saqi ke honT

sar jhuka hai jo bhi ab arbab-e-mai-KHana kahen

tishnagi hi tishnagi hai kis ko kahiye mai-kada

lab hi lab hum ne to dekhe kis ko paimana kahen

para-e-dil hai watan ki sarzamin mushkil ye hai

shahr ko viran ya is dil ko virana kahen

ai ruKH-e-zeba bata de aur abhi hum kab talak

tirgi ko sham-e-tanhai ko parwana kahen

aarzu hi rah gai 'majruh' kahte hum kabhi

ek ghazal aisi jise taswir-e-jaanana kahen

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahl-e-tufan Aao Dil-walon Ka Afsana Kahen In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Ahl-e-tufan Aao Dil-walon Ka Afsana Kahen is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Ahl-e-tufan Aao Dil-walon Ka Afsana Kahen for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Ahl-e-tufan Aao Dil-walon Ka Afsana Kahen in PDF.