Dur Dur Mujhse Wo Is Tarah KHiraman Hai

dur dur mujh se wo is tarah KHiraman hai

har qadam hai naqsh-e-dil har nigah rag-e-jaan hai

ban gai hai masti mein dil ki baat hangama

qatra thi jo saghar mein lab tak aa ke tufan hai

hum to pa-e-jaan par kar bhi aae ek sajda

sochti rahi duniya kufr hai ki iman hai

mere shikwa-e-gham se aalam-e-nadamat mein

is lab-e-tabassum par shama si farozan hai

ye niyaz-e-gham-KHwari ye shikast-e-dildari

bas nawazish-e-jaanan dil bahut pareshan hai

muntazir hain phir mere hadse zamane ke

phir mera junun teri bazm mein ghazal-KHwan hai

fikr kya unhen jab tu sath hai asiron ke

ai gham-e-asiri tu KHud shikast-e-zindan hai

apni apni himmat hai apna apna dil 'majruh'

zindagi bhi arzan hai maut bhi farawan hai

(502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Dur Mujhse Wo Is Tarah KHiraman Hai In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Dur Dur Mujhse Wo Is Tarah KHiraman Hai is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Dur Dur Mujhse Wo Is Tarah KHiraman Hai for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Dur Dur Mujhse Wo Is Tarah KHiraman Hai in PDF.