Hamein Shuur-e-junun Hai Ki Jis Chaman Mein Rahe

hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe

nigah ban ke hasinon ki anjuman mein rahe

tu ai bahaar-e-gurezan kisi chaman mein rahe

mere junun ki mahak tere pairahan mein rahe

mujhe nahin kisi uslub-e-shairi ki talash

teri nigah ka jadu mere suKHan mein rahe

na hum qafas mein ruke misl-e-bu-e-gul sayyaad

na hum misal-e-saba halqa-e-rasan mein rahe

khule jo hum to kisi shoKH ki nazar mein khule

hue girah to kisi zulf ki shikan mein rahe

sarishk rang na baKHshe to kyun ho bar-e-mizha

lahu hina nahin banta to kyun badan mein rahe

hujum-e-dahr mein badli na hum se waz-e-KHiram

giri kulah hum apne hi bankpan mein rahe

ye hukm hai rahe muTThi mein band sail-e-nasim

ye zid hai bahr-e-tapan kuza-e-kuhan mein rahe

zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'

hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe

(480) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein Shuur-e-junun Hai Ki Jis Chaman Mein Rahe In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Hamein Shuur-e-junun Hai Ki Jis Chaman Mein Rahe is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Hamein Shuur-e-junun Hai Ki Jis Chaman Mein Rahe for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Hamein Shuur-e-junun Hai Ki Jis Chaman Mein Rahe in PDF.