Hum Hain Mata-e-kucha-o-bazar Ki Tarah

hum hain mata-e-kucha-o-bazar ki tarah

uThti hai har nigah KHaridar ki tarah

is ku-e-tishnagi mein bahut hai ki ek jam

hath aa gaya hai daulat-e-bedar ki tarah

wo to kahin hai aur magar dil ke aas-pas

phirti hai koi shai nigah-e-yar ki tarah

sidhi hai rah-e-shauq pe yunhi kahin kahin

KHam ho gai hai gesu-e-dildar ki tarah

be-tesha-e-nazar na chalo rah-e-raftagan

har naqsh-e-pa buland hai diwar ki tarah

ab ja ke kuchh khula hunar-e-naKHun-e-junun

zaKHm-e-jigar hue lab-o-ruKHsar ki tarah

'majruh' likh rahe hain wo ahl-e-wafa ka nam

hum bhi khaDe hue hain gunahgar ki tarah

(428) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hain Mata-e-kucha-o-bazar Ki Tarah In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Hum Hain Mata-e-kucha-o-bazar Ki Tarah is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Hum Hain Mata-e-kucha-o-bazar Ki Tarah for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Hum Hain Mata-e-kucha-o-bazar Ki Tarah in PDF.