Gulu-e-yazdan Mein Nok-e-sinan Bhi TuTi Hai

gulu-e-yazdan mein nok-e-sinan bhi TuTi hai

kashakash-e-dil-e-paigham-baran bhi TuTi hai

sarab hai ki haqiqat nazara ki fareb

yaqin bhi TuTa hai tarz-e-guman bhi TuTi hai

siyasat-e-dil-aina chur chur to thi

siyasat-e-dil-e-ahan-garan bhi TuTi hai

andheri raat ka ye nim-baz sannaTa

gulon ki sans rag-e-gulsitan bhi TuTi hai

tumhaare jism ka suraj jahan jahan TuTa

wahin wahin meri zanjir-e-jaan bhi TuTi hai

kahan hain aalam-e-imkan wajud mein aaen

nazar nazar hi rahi hai jahan bhi TuTi hai

shikast-o-reKHt zamane ki KHub hai 'maKHdum'

KHudi to TuTi thi KHu-e-butan bhi TuTi hai

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulu-e-yazdan Mein Nok-e-sinan Bhi TuTi Hai In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Gulu-e-yazdan Mein Nok-e-sinan Bhi TuTi Hai is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Gulu-e-yazdan Mein Nok-e-sinan Bhi TuTi Hai for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Gulu-e-yazdan Mein Nok-e-sinan Bhi TuTi Hai in PDF.