Raushan Hai Bazm-e-shoala-ruKHan Dekhte Chalen

raushan hai bazm-e-shoala-ruKHan dekhte chalen

is mein wo ek nur-e-jahan dekhte chalen

wa ho rahi hai mai-kada-e-nim-shab ki aankh

angDai le raha hai jahan dekhte chalen

sargoshiyon ki raat hai ruKHsar o lab ki raat

ab ho rahi hai raat jawan dekhte chalen

dil mein utar ke sair-e-dil-e-rah-rawan karen

aahon mein Dhal ke zabt-e-fughan dekhte chalen

kaise hain KHanqah mein arbab-e-KHanqah

kis haal mein hai pir-e-mughan dekhte chalen

mazi ki yaadgar sahi yaad-e-dil to hai

tarz-e-nashat-e-nauha-garan dekhte chalen

sab waswase hain gard-e-rah-e-karwan ke sath

aage hai mishalon ka dhuan dekhte chalen

aanchal se uD rahe hain fazaon mein dur dur

shayad wahi ho jaan-e-butan dekhte chalen

aa hi gae hain raqs-gah-e-gul-ruKHan mein hum

kuchh rang-o-bu ka sail-e-rawan dekhte chalen

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushan Hai Bazm-e-shoala-ruKHan Dekhte Chalen In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Raushan Hai Bazm-e-shoala-ruKHan Dekhte Chalen is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Raushan Hai Bazm-e-shoala-ruKHan Dekhte Chalen for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Raushan Hai Bazm-e-shoala-ruKHan Dekhte Chalen in PDF.