Wo Jo Chhup Jate The Kabon Mein Sanam-KHanon Mein

wo jo chhup jate the kabon mein sanam-KHanon mein

un ko la la ke biThaya gaya diwanon mein

fasl-e-gul hoti thi kya jashn-e-junun hota tha

aaj kuchh bhi nahin hota hai gulistanon mein

aaj to talKHi-e-dauran bhi bahut halki hai

ghol do hijr ki raaton ko bhi paimanon mein

aaj tak tanz-e-mohabbat ka asar baqi hai

qahqahe gunjte phirte hain bayabanon mein

wasl hai un ki ada hijr hai un ka andaz

kaun sa rang bharun ishq ke afsanon mein

shahr mein dhum hai ek shoala-nawa ki 'maKHdum'

tazkire raston mein charche hain pari-KHanon mein

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Chhup Jate The Kabon Mein Sanam-KHanon Mein In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Wo Jo Chhup Jate The Kabon Mein Sanam-KHanon Mein is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Wo Jo Chhup Jate The Kabon Mein Sanam-KHanon Mein for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Wo Jo Chhup Jate The Kabon Mein Sanam-KHanon Mein in PDF.