Gagarin

mubarak tujhe o zamin ke musafir

zamin-o-zaman ki haden toD kar

aasmanon pe jaana

hawaon se aage KHalaon se aage

mah-o-kahkashan ki fazaon se aage

mubarak sitaron ki chilman haTana

sar-e-zulf-e-nahid ko chhu ke aana

dil-e-ibn-e-adam ki dhaDkan sunana

mubarak tujhe o zamin ke musafir

zamin-o-zaman ki haden toD kar

aasmanon pe jaana

(290) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gagarin In English By Famous Poet Makhdoom Mohiuddin. Gagarin is written by Makhdoom Mohiuddin. Read famous Poem Gagarin for youth and Student by Makhdoom Mohiuddin. Free Download Gagarin in PDF.