Garm Hathon Mein ShaKH

in ke zehn

un ki purani lakiron mein

Dub rahe hain

wo apni Dubti sanson ke

andhere kamron mein

hath panw mar rahe hain

un ki soch ka zaKHmi kohan

makkhiyon ki bhunbhunahat se

larzida hai

unhen nae buton se

nafrat hai

wo purane buton ki parastish mein

nae paida hone wale

bachche ka gala

ghonTna chahte hain

ki aazadi ki aawaz

is ke halq se nikal kar

un ke kapDon ko

ujla na kar de

wo ujle-pan ki peshani se

Darte hain

ki wo purane KHudaon ki

parastish mein

apne aap ko bhul gae hain

aur aane wala bachcha

sadiyon purane

daraKHt ki Tahni par baiTha

muskurahaT ki jhilmilahaT mein

garm hathon ki shaKHon mein

naha raha hai

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garm Hathon Mein ShaKH In English By Famous Poet Makhdoom Munawwar. Garm Hathon Mein ShaKH is written by Makhdoom Munawwar. Read famous Poem Garm Hathon Mein ShaKH for youth and Student by Makhdoom Munawwar. Free Download Garm Hathon Mein ShaKH in PDF.