Lafzon Ka Almiya

nae nae lafz shor karte

baDhe chale aa rahe hain

fikr o KHayal ki rahguzar aabaad ho rahi hai

zaban bahut si purani had-bandiyon se aazad ho rahi hai

kai fasane jo an-kahe the kai tasawwur jo be-zaban the

hazar aalam nashat o gham ke jo pahle na-qabil-e-bayan the

wo dhaDkanen KHamushi hi jin ke KHarosh-e-pinhan ki tarjuman thi

wo naghmagi jo KHamoshiyon ke siyah zindan mein par-fishan thi

use ab aaKHir khuli fazaon mein izn-e-parwaz mil gaya hai

ki ek naya rishta darmiyan-e-KHayal-o-awaz mil gaya hai

magar mujhe chup si lag gai hai

nae nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain

aur main

hujum-e-pur-shor mein akela

purane lafzon ko DhunDta hun

ye dekhta hun

jahan jahan kal purane lafzon ne Dal rakkhe the apne Dere

wahan nae lafz aa ke aabaad ho gae hain

makan agarche ujaD na pae makin barbaad ho gae hain

nae nae lafz shor karte baDhe chale aa rahe hain

lekin

purane lafzon ki paemali ne dam ba-KHud kar diya hai mujh ko

kisi ne socha nahin hai shayad magar main aksar ye sochta hun

purane lafzon ke sath hi ek purani duniya bhi kho gai hai

KHamoshiyon ke siyah-zindan mein ja ke ru-posh ho gai hai

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafzon Ka Almiya In English By Famous Poet Makhmoor Saeedi. Lafzon Ka Almiya is written by Makhmoor Saeedi. Read famous Poem Lafzon Ka Almiya for youth and Student by Makhmoor Saeedi. Free Download Lafzon Ka Almiya in PDF.