Algani

ek hi pal mein uchaT jati hai ye nind meri

ek bijli si chamak jati hai in aankhon mein

yak-ba-yak tez phuwaren jun baras jati hon

aur aangan mein sukhane ke liye sab kapDe

tar-ba-tar ho ke lipaT jate hain ek Dori se

un ko maujud hai ek Dor badan ki manind

thartharaati hui aati hai chali jati hai

par hawa un ko juda kar nahin sakti yaksar

jab talak sukh na jae jo nami un mein hai

rahte rahte teri taswir ubhar aati hai

meri aankhon mein kisi parda-e-simin ki tarah

yak-ba-yak tez phuwaren jon baras jati hain

dur ek algani si hai wo mere pas nahin

(475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Algani In English By Famous Poet Malik Ehsan. Algani is written by Malik Ehsan. Read famous Poem Algani for youth and Student by Malik Ehsan. Free Download Algani in PDF.