Kha Ke Kal Ho Pech-o-tab UTha Jo Dil Se Nala Tha

kha ke kal ho pech-o-tab uTha jo dil se nala tha

ja ke gardun pe chamakta shola-e-jawwala tha

KHwab mein bosa liya tha raat ba-lab-e-nazuki

subh dam dekha to us ke honTh pe but-KHala tha

wah ri afsurdagi is KHatir-e-dil-gir ki

ashk ka qatra jo Tapka chashm se so zhaala tha

thi KHayale-e-mah-ruKHan se shab baghal labrez nur

aab se KHali wa-lekin mai ba-rang-e-haala tha

kal ba-rang-e-ghuncha thi kis ko majal-e-guftugu

baat jab karta tha munh mein dil ka yak parkala tha

bad-gumani se Dara warna liya tera jo nam

dekhna bose ki KHatir main lab-e-dallala tha

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kha Ke Kal Ho Pech-o-tab UTha Jo Dil Se Nala Tha In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Kha Ke Kal Ho Pech-o-tab UTha Jo Dil Se Nala Tha is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Kha Ke Kal Ho Pech-o-tab UTha Jo Dil Se Nala Tha for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Kha Ke Kal Ho Pech-o-tab UTha Jo Dil Se Nala Tha in PDF.