Nur-e-mah Ko Shab Tah-e-abr-e-tunak Kya Laf Tha

nur-e-mah ko shab tah-e-abr-e-tunak kya laf tha

baal us mukhDe se uTh jate to matla saf tha

safi dil-ghazand ki kya thi dam-e-bos-o-kanar

bose ko mushkil Thaharna sine se ta naf tha

ek nigah ka dur se bhi aaj kal mahrum hai

dil ki tera muddaton KHu-karda-e-altaf tha

ho dar-e-mai-KHana par be-duKHt-e-raz baiThe hue

hazrat-e-'mamnun' yahi kya shewa-e-ashraf tha

(419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nur-e-mah Ko Shab Tah-e-abr-e-tunak Kya Laf Tha In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Nur-e-mah Ko Shab Tah-e-abr-e-tunak Kya Laf Tha is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Nur-e-mah Ko Shab Tah-e-abr-e-tunak Kya Laf Tha for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Nur-e-mah Ko Shab Tah-e-abr-e-tunak Kya Laf Tha in PDF.